captcha code in hindi - i m not a robot captcha code kya hota hai - Here you can learn about : 5S, 7 QC Tools, and 8D for Superior Quality Management etc

16 December, 2019

captcha code in hindi - i m not a robot captcha code kya hota hai

captcha code in hindi i m not a robot captcha code kya hota hai 

CAPTCHA CODE-
koi bhi website visit karege ya google pe website banayege tab aapko captcha code dekhne ko milege aur aap unhe fill bhi kiye hoge lekin kabhi aapne ye sacha hai ki yah hame kyo solve karne ko bola jaat hai Aur kyo hamara time wast kiya jaata hai Aur isse hota kya hai.

Yah captcha kya hai aur kyo laaya gaya aur isse hota kya hai 

captcha code kya hota hai hindi

captcha ka full form hota hai CAPTCHA

C- COMPLETELY
A-AUTOMATED
P- PUBLIC
T- TURNING TEST TO TELL
C-COMPUTERS AND 
H- HUMANS 
A-APART

Ise short me captcha kahte hai.

Isko laaya is liye gaya tha jitni bhi spaming ho rahi hai jo website ko kharab kar rahe hai bahut sare robots ghum rahe hai jo bahut sari website ko kharab kar rahe hai.

Kyo jaruri hai captcha code - EXAMLE AAPNE IRCTC ka name suna hoga india me jitni bhi train chalti hai us sab ka reservation online aap ghar baithe kar sakte hai sari train ke reservation isi train se hote hai.

AAp ko pata hota Tatkal ek esa system hai jisme aap train me safar karne ke ek din pahle  tatkal reservation kar sakte hai 10 Am AC class ka tatkal open hota hai aur 11 Am slipper class ka tatkal open hota hai.  

Agar mujhe AC ta ticket tatkal lena hai to mai 10 AM IRCtc ki website par jauga login karuga train select karuga jisme travel karna hai apni sari detail enter karuga uske baad me payment karuga isme mujhe minumum 1 minut lag jayege ek ticket lene me.

lekin isse pahle kisi aur ne yah kar diya tab yah sari ticket khatam ho jayegi to agar mai ek programmer hu aur mera dimag koding me chalta hai to mai ek script bana sakta hu ya  kah sakte hai ki ek robot bana sakta hu tab mujhe bus ye karna hai ki mujhe bus yah sari detail us scrip me daal kar rakhuga aur jaise hi TATKAL reservation ka time 10 Am open hota hai tab mai us scrip ko run kar duga tab automaticly jo chiye mujhe 10 Am ke baad manualy karni thi wah ab meri acrip karegi ya robot karega matlab Log in se lekar payment tab yah sab scrip se ho jayega. 

IRCtc tatkab ka reservation lene me mujhe jaha 1 minut lahne wale the wah us scrip se ya robot se kuch hi second me ho jayeg. jaha par mujhe 1 minut lagne wale the ab wah mai kuch hi seconds me kar luga.

yaha par sabse badi problem  yahi tha sari websites ko ki kaise pata lagaya jaaye ki wah ek aadmi hai ya robots jo hamari website ko chala raha hai.

kyoki agar scrip code ban gaya tab to Tatkal open hote hi khatam ho jayega logo tak chije nahi pahuch payegi tab yaha par ek concept laaya gaya captcha code ka .

CAPTCHA CODE Ko Kyo Laaya Gaya -  captcha code ko isliye laaya gaya taki jitni bhi spaming ho rahi hai bahut sare robots ghum rahe hai jo sari website ko krab kar rahe hai ek hi click me lakho resistration kar rahe hai gmail id lakho ban rahi hai in sab ko rokne ke liye ho captcha code ko laaya gaya tha.

captcha code se yah pata lagaya jaata hai ki aap ek human ho ya ek robots ho. iske piche jo technology use hoti hai ki kaise pata lagaya jaay aur 2003 me yah captcha design kiya gaya isme screen par alag alag letters dikhaye jaate hai aur human apni akho se dekh sakta hai words ko bend karke dikhaya jaata hai taki agar koi robots use read kare tab usko samajh na paaye aur human  apni aakho se dekh kar aur samajh kar use submit kare.

iske baad ise aur advance  banaya gaya jise re-captcha kahte hai.

Google ne 2009 me recaptcha company ko kharid liya ab google ne ise aur achha banane me lag gaya kyo ki baar baar logo se text likhwaana bahut hi boring sa kaam hai kyo ki logo ka isme time west hota hai. 

Tab google ne ek naya captcha launch kiya jiska name hai Nocaptcha Recaptcha ese captcha aapko google ki website par mil jaayege jisme likha hota hai I AM NOT A ROBOT

ISME aapko bus click karna hota hai aur agar ek baar me right click a jaaya hai tab aap us lable ko paar kar jaate hai. Ab daute yah hoga aapko ki agar mai click karta hu to koi robots bhi click kar sakta hai aur us level ko paar kar sakta hai. 

recaptcha i am not a robot hindi


Yaha par jab aap click karte hai tab bahut sari information aapke computer ya mobile se google tak pahuch jaati hai jaise aapki ip address aap kis location me ho aur aap jab click liya tab aapka curser point kis situation me click point tak aaya straight aaya ya bend ho kar aaya aur us page par kitne samay se ho. 

yah sari information jaati hai googlr ke server pe machin ke thruw pata lagaya jaat hai ki aapka behavior kaisa hai matlab human ka hai ya robot ka hai.

agar 95 % google ko lagta hai ki wah ek human hai to wah waha par click kar dega aur aap us level ko pass kar jayege yah sab kuch hi mini second me hota hai. 

agar agar google ko laga ki yaha ek robot hai tab aapko images dikhai jayegi aur aapko car ya road ko point karne ko kaha yayega uske baad aap yah karne ke baad aap ise pass kar payege yaha par ise Nocaptcha kaha jaata hai  yaha par aapko kuch bharna nahi padta hai bus click karke app us level ko pass kar jaate ho. 

Captcha code ko kyu use kiya jaata hai

captcha  ek tarah se spaming ko rokhne ke liye use kiya jaata hai. iska upyg security ke roop me kiya jaata hai jise kewal insan hi solve kar sakte hai kyu ki yah baar baar change hota rahta hai isliye ise robots solve nahi kar sakte hai.

CAPTCHA Code ko kaise solve Kare

Agar aap kisi website par visit karte hai aur aapse captcha fill karne ko bola jaata hai aapke samne ek captcha code dikhai deta hai jaha par image me kuch characters likhe hote hai tab aap us character ko fill ya type karte hai.

 Aur agar aapka type kiya hua chacter match kar jaata hai tab aap website me aage enter kar sakte hai. Aur yadi aapka likha hua captcha code match nahi karta hai tab aapke samne ek naya captcha code automatically aa jaata hai tab aap ise achhe se dekhkar fill kariye. yahi baar baar chalta rahta hai.
captcha code in hindi - i m not a robot captcha code kya hota hai 

No comments:

Post a Comment